Pehle Sai ke charno mein, apna sheesh nivauo maiy,
Kaise Shirdi Sai aaye, saara haal sunau maiy. ||1||
Kaun hai mata, pita kaun hai, yeh na kisi ne bhi
jaana,
Kaha janam Sai ne dhara, prashan paheli raha bana.
||2||
Koee kahe Ayodhya ke, yeh Ramchandra bhagvan hain,
Koee kehta Saibaba, pavan putra Hanuman hain. ||3||
Koee kehta mangal murti, Shri Gajanan hain Sai,
Koee kehta Gokul-Mohan Devki Nandan hain Sai. ||4||
Shanker samajh bhakt kaee to, baba ko bhajhte rahte,
Koee kahe avtar datt ka, pooja Sai ki karte.
||5||
Kuch bhi mano unko tum, pur sai hain sachche bhagvan,
Bade dayalu deen-bandhu, kitno ko diya jivan-daan.
||6||
Kaee varsh pehle ki ghatna, tumhe sunaunga mein
baat,
Keesy bhagyashaali ki Shirdi mein aaee thi barat.
||7||
Aaya saath usi ke tha, baalak aik bahut sunder,
Aaya aaker vahin bus gaya, paavan Shirdi kiya nagar.
||8||
Kaee dino tak raha bhatakta, bhiksha maangi usne
dar dar,
Aur dikhaee aisee leela, jug mein jo ho gaee amar.
||9||
Jaise-jaise umar badi, badti hee vaisy gaee shaan,
Ghar ghar hone laga nagar mein, Sai baba kaa gungaan.
||10||
Digdigant mein laga goonjane, phir to Saiji ka naam,
Deen-dhukhi ki raksha karna, yahi raha baba ka kaam.
||11||
Baba ke charno mein ja kar, jo kehta mein hoo nirdhan,
Daya usee par hoti unkee, khul jaate dhukh ke bandhan.
||12||
Kabhi kisee ne maangi bhiksha, do baba mujhko suntaan,
Aivom astoo tub kaihkar Sai de te thay usko vardaan.
||13||
Swayam dhukhi baba ho jaate, deen-dukhijan ka lukh
haal,
Anteh: karan bhi Sai ka, sagar jaisa raha vishal.
||14||
Bhakt ek madrasi aaya, ghar ka bahut bada dhanvaan,
Maal khajana behadh uskaa, keval nahi rahi suntaan.
||15||
Laga manane Sainath ko, baba mujh per daya karo,
Junjha se junkrit naiya ko, tum hee mairee par karo.
||16||
Kuldeepak ke bina andhera, chchaya hua ghar mein
mere,
Isee liye aaya hoon baba, hokar sharnagat tere.
||17||
Kuldeepak ke abhav mein, vyarth hai daulat ki maya,
Aaj bhikhari ban kar baba, sharan tumhari mein aaya,
||18||
De de mujhko putra-daan, mein rini rahoonga jivan
bhar,
Aur kisi ki aas na mujko, siraf bharosa hai tum
per. ||19||
Anunaye-vinaye bahut ki usne, charano mein dhar
ke sheesh,
Tub prasana hokar baba ne, diya bhakta ko yeh aashish.
||20||
'Allah bhala karega tera,' putra janam ho tere ghar,
Kripa rahegi tum per uski, aur tere uss balak per.
||21||
Ab tak nahi kisi ne paya, sai ki kripa ka paar,
Putra ratan de madrasi ko, dhanya kiya uska sansaar.
||22||
Tan-man se jo bhaje usi ka jug mein hota hai uddhar,
Sanch ko aanch nahi haiy koee, sada jooth ki hoti
haar. ||23||
Mein hoon sada sahare uske, sada rahoonga uska daas,
Sai jaisa prabhu mila haiy, itni ki kum haiy kya
aas. ||24||
Mera bhi din tha ik aisa, milti
nahi mujhe thi roti,
Tan per kapda duur raha tha, sheish rahi nanhi si
langoti, ||25||
Sarita sammukh hone per bhi mein pyasa ka pyasa
tha,
Durdin mera mere ooper, davagani barsata tha. ||26||
Dharti ke atirikt jagat mein, mera kuch avalumbh
na tha,
Bana bhikhari maiy duniya mein, dar dar thokar khata
tha. ||27||
Aise mein ik mitra mila jo, param bhakt Sai ka tha,
Janjalon se mukt, magar iss, jagti mein veh bhi
mujh sa tha. ||28||
Baba ke darshan ke khatir, mil dono ne kiya vichaar,
Sai jaise daya murti ke darshan ko ho gaiye taiyar.
||29||
Paavan Shirdi nagari mein ja kar, dhekhi matvaali
murti,
Dhanya janam ho gaya ki humne jab dhekhi Sai ki
surti. ||30||
Jabse kiye hai darshan humne, dukh sara kaphur ho
gaya,
Sankat saare mite aur vipdaon ka ant ho gaya. ||31||
Maan aur sammaan mila, bhiksha mein humko baba se,
Prati bambit ho uthe jagat mein, hum Sai ki abha
se. ||32||
Baba ne sammaan diya haiy, maan diya is jivan mein,
Iska hee sambal le mein, hasta jaunga jivan mein.
||33||
Sai ki leela ka mere, mun par aisa assar hua,
Lagta, jagti ke kan-kan mein, jaise ho veh bhara
hua. ||34||
'Kashiram' baba ka bhakt, iss Shirdi mein rehta
tha,
Maiy Sai ka Sai mera, veh duniya se kehta tha. ||35||
Seekar svayam vastra bechta, gram nagar bazaro mein,
Jhankrit uski hridh-tantri thi, Sai ki jhankaron
se. ||36||
Stabdh nisha thi, thay soye, rajni aanchal me chand
sitare,
Nahi soojhta raha hath ka, hath timiri ke mare.
||37||
Vastra bech kar lote raha tha, hai! Haath se 'kaashi',
Vichitr bada sanyoga ki uss din aata tha veh akaki.
||38||
Gher raah mein khare ho gaye, usse kutil, anyaayi,
Maaro kaato looto iski, hee dhvani pari sunaee.
||39||
Loot peet kar usse vahan se, kutil gaye champat
ho,
Aaghaton se marmahat ho, usne di thi sangya kho.
||40||
Bahut der tak para raha veh, vahin usi halat mein,
Jaane kab kuch hosh ho utha, usko kisi palak mein.
||41||
Anjane hee uske muh se, nikal para tha Sai,
Jiski prati dhvani Shirdi mein, baba ko parri sunai.
||42||
Shubdh utha ho manas unka, baba gaye vikal ho,
Lagta jaise ghatna sari, ghati unhi ke sunmukh ho.
||43||
Unmadi se idhar udhar tab, baba lage bhatakne,
Sunmukh chizein jo bhi aiee, unkoo lage patkne.
||44||
Aur dhadhakte angaro mein, baba ne kar dala,
Huye sashankit sabhi vaha, lakh tandav nritya nirala.
||45||
Samajh gaye sab log ki koi, bhakt para sankat mein,
Shubit khare thai sabhi vaha par, pare huye vismaiye
mein. ||46||
Usse bachane ke hi khatir, baba aaj vikal hai,
Uski hi piraa se pirit, unka ant sthal hai. ||47||
Itne me hi vidhi ne apni, vichitrata dhikhlayi,
Lukh kar jisko janta ko, shradha sarita lehrayee.
||48||
Lekar sanghya heen bhakt ko, gaari ek vaha aayee,
Sunmukh apne dekh bhakt ko, Sai ki aankhe bhar aayee.
||49||
Shant, dheer, gambhir sindhu sa, baba ka anthsthal,
Aaj na jane kyon reh-rehkar, ho jaata tha chanchal.
||50||
Aaj daya ki murti svayum tha bana hua upchaari,
Aur bhakt ke liye aaj tha, dev bana prati haari.
||51||
Aaj bhakti ki vishum pariksha mein, safal hua tha
Kaashi,
Uske hee darshan ki khatir, thai umre nagar-nivasi.
||52||
Jab bhi aur jahan bhi koyee, bhakt pare sankat mein,
Uski raksha karne baba jate hai pulbhur mein.
||53||
Yug yug ka hai satya yeh, nahi koi nayee kahani,
Aapat grast bhakt jab hota, jate khudh antar yami.
||54||
Bhedh bhaav se pare pujari manavta ke thai sai,
Jitne pyare Hindu-Muslim uutne hi Sikh Isai. ||55||
Bhed bhaav mandir masjid ka tor phor baba ne dala,
Ram rahim sabhi unke thai, Krishan Karim Allah Tala.
||56||
Ghante ki pratidhvani se gunja, masjid ka kona kona,
Mile paraspar Hindu Muslim, pyar bada din din doona.
||57||
Chamatkar tha kitna sundar, parichaye iss kaya ne
dee,
Aur neem karvahat mein bhi mithaas baba ne bhar
dee. ||58||
Sabko sneha diya Sai ne, sabko suntul pyar kiya,
Jo kuch jisne bhi chaha, baba ne usko vahi diya.
||59||
Aise snehsheel bhajan ka, naam sada jo japa kare,
Parvat jaisa dhukh na kyoon ho, palbhar mein veh
door tare. ||60||
Sai jaisa daata humne, aare nahi dekha koi,
Jiske keval darshan se hee, saari vipda door gayee.
||61||
Tan mein Sai, man mein Sai, Sai bhajha karo,
Apne tan ki sudh budh khokur, sudh uski tum kiya
karo. ||62||
Jab tu apni sudh tajkur, baba ki sudh kiya karega,
Aur raat din baba, baba, baba hi tu rata karega.
||63||
To baba ko aare! vivash ho, sudh teri leni hee hogi,
Teri har icha baba ko, puree hee karni hogi. ||64||
Jungal jungal bhatak na pagal, aur dhundne baba
ko,
Ek jagah keval Shirdi mein, tu paiga baba ko. ||65||
Dhanya jagat mein prani hai veh, jisne baba ko paya,
Dukh mein sukh mein prahar aath ho, sai ka hee gune
gaya. ||66||
Gire sankat ke parvat, chahe bijli hi toot pare,
Sai ka le naam sada tum, sunmukh sub ke raho arre.
||67||
Iss budhe ki sunn karamat, tum ho jaoge hairaan,
Dang reh sunkar jisko, jane kitne chatur sujaan.
||68||
Ek baar Shirdi mein sadhu dhongi tha koi aaya,
Bholi bhali nagar nivasi janta ko tha bharmaya.
||69||
Jari, butiyan unhe dhikha kar, karne laga vaha bhashan,
Kehne laga sunno shrotagan, ghar mera hai vrindavan.
||70||
Aushadhi mere paas ek hai, aur ajab iss mein shakti,
Iske sevan karne se hi, ho jaati dukh se mukti.
||71||
Aggar mukta hona chaho tum, sankat se bimari se,
To hai mera numra nivaidan, har nar se har nari
se, ||72||
Lo kharid tum isko, sevan vidhiyan hai nyari,
Yadyapi tuch vastu hai yeh, gun uske hai atisheh
bhari. ||73||
Jo hai suntaan heen yeh yadi, meri aushdhi ko khaye,
Putra ratan ho parapat, aare aur veh mooh manga
phal paye. ||74||
Aushadh meri jo na kharide, jeevan bhar pachtayega,
Mujh jaisa prani shayad hi, aare yaha aa payega.
||75||
Duniya do din ka mela hai, mauj
shaunk tum bhi kar lo,
Gar is se milta hai, sub kuch, tum bhi isko le lo.
||76||
Hairani barti janta ki, lakh iski kaarastaani,
Pramudit veh bhi man hi man tha, lakh logo ki nadani.
||77||
Khabar suna ne baba ko yeh, gaya daud kar sevak
ek,
Sun kar bhukuti tani aur, vismaran ho gaya sabhi
vivek. ||78||
Hukum diya sevak ko, satvar pakar dusht ko lao,
Ya Shirdi ki seema se, kapti ko duur bhagao.
||79||
Mere rehte bholi bhali, shirdi ki janta ko,
Kaun neech aisa jo, sahas karta hai chalne ko.
||80||
Pulbhur mai hi aise dhongi, kapti neech lootere
ko,
Maha naash ke maha gart mein, phahuncha doon jivan
bhar ko. ||81||
Tanik mila aabhaas madari, krur kutil anyayi ko,
Kaal nachta hai ab sir par, gussa aaya Sai ko.
||82||
Pal bhar mein sab khel bandh kar, bhaga sir par
rakh kar pairr,
Socha tha sabh hi ab, bhagvan nahi hai ab khair.
||83||
Such hai Sai jaisa daani, mil na sakega jag mein,
Ansh iish ka Sai baba, unhe na kuch bhi mushkil
jag mein. ||84||
Sneh, sheel, sojanya, aadi ka abhushan dharan kar,
Badta iss duniya mein jo bhi, manav sevaye path
par. ||85||
Vahi jeet leta hai jagti, ke jan
jan ka anthsthal,
Uski ek udasi hi jag ko kar deti hai vrihal.
||86||
Jab jab jug mein bhar paap ka bar bar ho jaata hai,
Usse mita ne ke hi khatir, avtari ho aata hai. ||87||
Paap aur anyaya sabhi kuch, iss jagti ka har ke,
Duur bhaga deta duniya ke danav ko shan bhar mein.
||88||
Sneh sudha ki dhar barasne, lagti hai duniya mein,
Gale paraspar milne lagte, jan jan hai aapas mein.
||89||
Aisse hee avtari Sai, mrityulok mein aakar,
Samta ka yeh paath paraya, sabko apna aap mitakar.
||90||
Naam dwarka masjid ka , rakha Shirdi
ne,
Haap taap, suntaap mitaya, jo kuch aaya Sai ne.
||91||
Sada yaad mein mast ram ki, baithe rehte thai Sai,
Peher aath hee naam ram ka, bhajte rehte thai Sai.
||92||
Sookhee rookhee tazi baasi, chahe ya hovai pakvaan,
Sada pyar ke bhooke Sai ke, khatir thai sabhi samaan.
||93||
Sneh aur shradha se apni, jan jo kuch de jaate thay,
Bade chaav se uss bhojan ko, baba paavan karte thay.
||94||
Kabhi kabhi man behlane ko, baba baag mein jate
thay,
Pramudit man nirukh prakrati, chatta ko veh hote
thay. ||95||
Rang-birange pushp baag ke manam manam hil dul karke,
Beehar birane man mein bhi sneh salil bhar jate
thai. ||96||
Aise su-madhur bela mein bhi, dukh aafat bipda kai
maare,
Apne man ki vyatha sunane, jan rehte baba ko ghere.
||97||
Sunkar jinki karun katha ko, nayan kamal bhar aate
thay,
De vibhuti har vyatha, shanti, unke uur mein bhar
dete thay. ||98||
Jaane kya adhbut, shakti, uuss vibhuti mein hoti
thi,
Jo dharan karke mastak par, dukh saara har leti
thi. ||99||
Dhanya manuj veh sakshaat darshan, jo baba Sai ke
paye,
Dhanya kamal kar unke jinse, charan kamal veh parsai.
||100||
Kaash nirbhaiy tumko bhi, saakshat Sai mil jaata,
Varshon se ujra chaman apna, phir se aaj khil-jata.
||101||
Gar pakar mein charan shri ke, nahi chorta umar
bhar,
Mana leta mein jaroor unko gar rooth te Sai mujh
par!! ||102||
Samapt.
|